نعت کی خوشبو گھر گھر پھیلے
1338 results found with an empty search
- HAMARAY MAULA HAMARAY AAQA IMAM-E-AZAM ABU HANIFA
Hamaray Aaqa hamaray Maula Imam e Azam Abu Hanifa Hamaray Muljaa hamaray Maa’wa Imam e Azam Abu Hanifa Tum hi ko Maana, Tum hi ko Jana, Tumhi tou Sub k Imam Thehray Mila na koi Imam Tum sa Imam e Azam Abu Hanifa Zamanay bhar ne Zamanay bhar mein bohat tajassus kia hay lekin Mila na koi Imam Tum sa Imam e Azam Abu Hanifa Tumharay Aagay Tamam Aalam na kiun karay Zaano e Adab Kham Kay Peshwayaan-e-Deen-e-Baala Imam e Azam Abu Hanifa Na Kiun karain Naaz AhleSunnat kay Tum se Chamka Naseeb-e-Ummat Siraj e Ummat Mila ho Tumsa Imam e Aazam Abu Hanifa Hua Uloo al-Amr se ye Sabit kay teri Taa’at zaroor wajib Khuda ne tum ko kia hamra Imam e Azam Abu Hanifa Siraaj Tu hay baghair teray jo koi samajhe Hadees o Quraan Phiray batakhta na paaey rasta Imam e Azam Abu Hanifa Jo Teri Taqleed shirk hoti, Muhaddiseen Saaray hotay Mushrik Bukhaari-o-Muslim Ibn Majah Imam e Azam Abu Hanifa Ye jitnay Fuqaha Muhaddiseen hain, Tmharay Khirman se Khosha Cheen hain wo Wastay se ye Bay Waseela Imam e Azam Abu Hanifa Khabar le Ae Dastageer e Ummat Hay Saaiq e Be khabar pe Shiddat Wo Tera ho kar phiray bathakta Imame Azam Abu Hanifa
- Wo Bareiley Ka Ahmed Raza Hai
Ghous E Azam Ka Deewana Jo Hai Khwaja Ka Mastana Jo Muhammad Pe Dil Se Fida Hain Wo Bareiley Ka Ahmed Raza Hai Jab Wo Paida Hua Noori Saaye Tale Baatil E Najd Mein Aa Gaye Zalzale Kaise Uski Fazeelat Ka Suraj Dhale Jiski Azmat Ka Sikka Arab Me Chale Jiska Khaaye Uska Gaaye Uska Naara Hum Lagaye, Jiska Naara Arab Mein Laga Hai Wo Bareiley Ka Ahmed Raza Hai Jisne Ishq E Nabi Mein Utha Ke Qalam Mustafa Jaan E Rehmat Kiya Hai Raqam Bad Aqeedoh Ka Jisne Giraya Alam Jisne Sarr Najdiyat Kiya Hai Qalam Jab Bhi Ye Kisi Ne Poocha Har Taraf Se Naara Gunja, Ke Wo Khwaja Piya Ki Ataa Hai Wo Bareiley Ka Ahmed Raza Hai Dasvi Tareekh Thi Maahe Shavval Tha Ghar Naqi Khan Ke Beta Paida Hua Naam Ahmad Raza Uska Rakhha Gaya Aala Hazrat Zamane Ka Wo Bann Gaya Ilm O Hiqmat Ka Khazana Ho Mujaddid E Zamana Najdiyo Se Jo Tanha Lada Hai Wo Bareiley Ka Ahmed Raza Hai Jab Raza Kha(n) Ko Bay’at Ki Khwaish Hui Pohache Marehra Wo Umr Baayis Ki Thi Faiz E Barkaat Se Aysi Barkat Mili Saath Bay’at Ke Fauran Khilafat Mili Aala Hazrat Unko Tanha Sirf Main Hi Nahi Kehta Achhe Achho Ko Kehna Pada Hai Wo Bareiley Ka Ahmed Raza Hai
- FALAK KE NAAZARO ZAMEEN KI BAHAARO
Falak Ke Naazaro, Zameen Ki Bahaaro Sub Eidein Manao Huzoor Agaye Hain Uttho Bay Saharo Chalo Gham Ke Maaro Khabar Ye Sunao Huzoor Agaye Hain Huzoor Agaye Hain, Huzoor Agaye Hain Anokha Niraala Woh Zee Shaan Ayaa Woh Saray Rasoolaun Ka Sultan Ayaa Aray Kaj Kula’ho Aray Baadshaho Nigahein Jhukao Huzoor Agaye Hain Huzoor Agaye Hain, Huzoor Agaye Hain Huwaa Char Su Rahmataun Ka Ba’sayra Ujaala Ujaala’ Sawera, Sawera Halima (R.A) Ko Pohnchi Khabar Aaminah (R.A) Ki Mere Ghar Main Aao, Huzoor Agaye Hain Huzoor Agaye Hain, Huzoor Agaye Hain Hawaun Mein Jazbaat Hain Marhaba Ke Fazaun Mein Naghmaat Salle’Alla Ke Daroodaun Ke Gajrey, Salamaun Ke Tohfay Ghulamo Sajaao, Huzoor Agaye Hain Huzoor Agaye Hain, Huzoor Agaye Hain Sama Hai Sana E Habeeb E Khuda Ka Ye Meelad Hai Sarwaray Ambiya Ka Nabi Ke Gadao Sub Ek Doosre Ko Khabar Ye Sunao, Huzoor Agaye Hain Huzoor Agaye Hain, Huzoor Agaye Hain Kahaan Mai Zahuri Kahaan Unki Batein Karam Hi Karam Hain Ye Din Aur Ratein Jahaan Par Bhi Jaao Dilaun Ko Jagao Yahi Kehte Jaao, Huzoor Agaye Hain Huzoor Agaye Hain, Huzoor Agaye Hain
- Tu kuja mann kuja with English translation
Ya nabi, ya nabi Sallu alai-hi waalihi Tu kuja mann kuja Tu kuja mann kuja Tu ameer-e haram main faqeer-e ‘ajam Tu ameer-e haram main faqeer-e ‘ajam Tere gun aur yih lab main talab hi talab (2) Tu ata hi ‘ata main khata hi khata Tu kuja man kuja Tu kuja man kuja (x2) O Prophet Muhammad Salutations on him and his family Mine is a lowly station And yours exalted beyond imagination You are commander of the holy sanctuary in Arabia And I a destitute foreigner I am but a humble seeker My sinful lips unworthy to sing your lofty praises You are nothing but mercy and benefaction And I nothing but fault and error Mine is a lowly station And yours exalted beyond imagination Ilhaam jaamah hai tera Qur’aan imaama hai tera Mimbar tera arsh-e bareen Ya rahmat-ul-lil aalameen Tu kuja man kuja (x4) You are gloriously adorned in the robe of divine revelation The holy book forms your exalted turban The highest heaven is your pulpit O Mercy for the Worlds Mine is a lowly station And yours exalted beyond imagination Tu haqeeqat hai main sirf ehsaas hoon (2) Tu samandar main bhatki hui pyaas hoon (2) Mera ghar khaak par aur teri rahguzar (2) Sidrat ul-muntaha Tu kuja man kuja, tu kuja man kuja Tu kuja man kuja, tu kuja man kuja You are reality, I merely perception You are the ocean, I a wandering thirst My dwelling is on the humble soil, and you journey Beyond even the seventh heaven To the Lote-Tree of the Extremity Mine is a lowly station And yours exalted beyond imagination Aye farishto woh sultaan-e mairaaj hain (x2) Tum jo dekho ge hairaan ho jaaoge (x2) Zulf tafseer-e wallail ban jaayegi Chehra quraan sara nazar aayega Chehra nazar ayega (x4) O angels, he is king of the Night Journey It will amaze you to see him His dusky tresses will become an exposition Of the verse ‘By the Night’ His radiant face will give The appearance the Quran in entirety Mere aaqa imaam-I saff-e ambiya (2) Naam pe unke laazim hai salle ala Laazim hai salle ala (x4) My master, the prayer-leader of all the prophets Each time we hear his name It is incumbent upon us to invoke blessings on him Tu kuja man kuja Mustafa mujtaba Khaatim ul-mursaleen Ya rahmat ul-lil- aalameen. Mine is a lowly station And yours exalted beyond imagination God’s Chosen, God’s Favourite Seal of the Prophets O Mercy for the Worlds Tu kuja mann kuja Tu kuja mann kuja Khair ul-bashar rutbah tera (2) Aawaaz-e haq khutbah tera (2) Aafaaq tere saamaeen (2) Saais jibreel-e ameen (2) Ya rahmat ul-lil-‘aalameen Tu kuja man kuja, tu kuja man kuja Tu kuja man kuja, tu kuja man kuja You have the rank of the Best of Mankind Your sermon is the voice of God The heavens are your audience Gabriel the Faithful is your horse-keeper O Mercy for the Worlds Mine is a lowly station And yours exalted beyond imagination Tu hai ahraam-e anwaar baandhe hue (2) Main duroodon ki dastaar baandhe hue (2) Kaaba-e ishq tu main tere chaar su (2) Tu asar main dua Tu kuja man kuja You are clad in a garment of illumination and splendour And I wear a turban cloth of humble salutations You are the Ka’ba of Love And I circuit around you I am prayer, and you are effect Mine is a lowly station And yours exalted beyond imagination
- Woh Sarwar E Kisarwar E Risalat Jo Arsh Per Jalwah Gar Huye Thay
Woh Sarwar E Kisarwar E Risalat Jo Arsh Per Jalwah Gar Huye Thay Naye Nirale Tarab Kay Saaman Arab Ke Mehman Kay Liye Thay. Bahar Hai Shadiyan Mubarak Chaman Ko Aabadiyan Mubarak, Malak Falak Apni Apni Lay Main Yeh Ghur Ana Dil Ka Boltay Thay. Wahan Falak Per Yahan Zameen Main Rachi Thi Shaadi Machi Thi Dhoomein Udhar Say Anwar Hastay Aatay Idhar Say Naf-Haat Ooth Rahay They. Yeh Chhut Padti Thi Unkay Rukh Ki Kay Arsh Tak Chandni Thi Chhatki, Woh Raat Kya Jagmaga Rahi Thi Jagah Jagah Nasb Aainay They Nayi Dulhan Ki Phaban Main Kaaba Nikhar Kay Sanwara Sanwar Kay Nikhra Hajar Key Sadqay Kamar Key Eik Til Main Rang Lakhoon Banao Key They. Nazar Main Dulha Key Pyaray Jalway Haya Say Mehrab Sir Jhukaye Siyah Parday Kay Moun Per Aanchal Tajaliye Zaat E Bahat Say Thay. Khushi Kay Badal Umand Kay Aaye Diloon Kay Taoos Rang Laye Woh Naghma E Naat Ka Samaan Tha Haram Ko Khud Wajd Aa Rahe Thay Yeh Jhooma Mizab E Zar Ka Jhoomer Kay Aa Raha Kaan Per Dhalak Ker Phuhar Barsi To Moti Jhar Ker Hatim Ki Gaud Mein Bharay They. Dulhan Ki Khushboo Say Mast Kapray Nasim E Gustakh Aanchloon Say Gilaf E Mushkeen Jo Oord Raha Tha Ghazal Naafe Basaa Rahay Thay. Pahadiyoon Ka Woh Husn E Taz’ee Woh Oonchi Choti Woh Nazo Tamqeen Saba Say Sabzah Main Lehrein Aateen Dupattay Dhani Chunay Huye Thay. Naha Kay Nehroon Nay Woh Chamakta Libas Aabay Rawan Ka Pehna Ki Mauj E Chadiyaan Thi Dhaar Lachka Habab E Tabaan Kay Thal Takay Thay. Purana Purdag Malgaja Tha Utha Diya Farsh Chandni Ka Hajoom E Tare Nigah Say Kosoon Qadam Qadam Farsh Baadley Thay. Ghubar Ban Ker Nisaar Jayein Kahan Ab Uss Rah Guzar Ko Payein Hamaray Dil Huriyoon Ki Aankhein Farishtoon Kay Per Jahan Biche Thay. Khuda Hee Day Sabr Jaan E Purgham Dikhaoon Kyun Kar Tujhay Woh A’alam Jab Unko Jhurmat Main Lakay Qudsi Jinaa Ka Dulha Bana Rahay Thay. Utar Ker Unkay Rukh Ka Sadqa Yeh Noor Ka But Raha Tha Bada Kay Chand Suraj Machal Machal Ker Jabeen Ki Khairat Mangtay Thay. Wohi To Ab Tak Chalak Raha Hai Wohi To Joban Tapak Raha Hai Nahanay May Jo Gira Tha Pani Katoray Taroon Nay Bhar Liye Thay. Bacha Jo Talwoon Ka Unkay Dhouwan Bana Woh Jannat Ka Rang O Roghan Jinhoon Nay Dulha Ki Payi Utran Woh Phool Gulzar E Noor Kay Thay. Khabar Yeh Tehweelay Maher Ki Thi Kay Rut Sunhani Ghadi Phiray Gee Wahan Ki Poshak Zay-Bay Tan Ki Yahan Ka Joda Badha Chukay Thay. Tajaliy E Haq Ka Sehra Sar Per Salat O Tasleem Ki Nichawar Do Roya Qudsi Paray Jama Kar Kharhay Salami Kay Waastay Thay. Jo Hum Bhi Waan Hotay Khaq E Gulshan Lipat Kay Qadmoon Say Ley Tay Utran Magar Karein Kiya Naseeb Main To Yeh Namuradi Kay Din Likhay Thay. Abhi Na Aaye Thay Pusht E Zeen Tak Kay Sir Hui Maghfirat Ki Shallak Sada Shafa’at Nay Di Mubarak! Gunaah Mastana Jhoomtay Thay. Ajab Na Tha Rakhsh Ka Chamakna Gazal E Dam Khurdasa Bhadakna Shuaein Bukkay Urha Rahi Theen Tadapte Ankhoon Pay Saieqay Thay. Hujum E Umeed Hai Ghatao Muradein Day Kar Inhein Hatao Adab Ki Baagein Liye Badhao Malaika May Yeh Ghal Ghale Thay. Uthi Jo Garde Rahe Munawar Woh Noor Barsa Kay Raaste Bhar Ghiray Thay Badal Bharay Thay Jal Thal Umand Kay Jangle Ubal Rahay Thay. Sitam Kiya Kaisi Mat Kathi Thi Qamar Woh Khak Unkay Rah Guzar Ki Utha Na Laya Kay Miltay Miltay Ye Daagh Sab Dekhte Mite They Burraq Kay Naqshe Sum Kay Sadqe Woh Gul Khilaye Kay Saray Rastey Mehaktay Gulban Mehakte Gulshan Hare Bhare Lahlaha Rahe Thay. Namaz E Aqsa Main Tha Yehi Seer Ayan Houn Ma’ani E Awwal Akhir Key Dast Basta Hain Pichey Hazir Jo Salatanat Aagay Kar Gaye Thay. Yeh Unki Aamad Ka Dab-Daba Tha Nikhar Her Shaiy Ka Ho Raha Tha Nujoom O Aflak Jam O Mina Ujaltay Thay Khangaltey They. Naqab Ultay Woh Mehr E Anwar Jalal O Rukhsar Garmiyoon Per Falak Ko Hebat Say Tap Charhi Thi Tapaktay Anjum Kay Aablay Tha Yeh Joshishe Noor Ka Asar Tha Key Aabay Gohar Qamar Qamar Tha Safaey Rah Say Phisal Phisal Kar Sitare Qadmon Pay Laut’tay Thay. Badha Ye Lehra Kay Behr O Wahdat Key Dhul Gaya Naam E Raige Kasrat Falak Key Teloon Ki Kiya Haqeeqat Yeh Arsh O Kursi Do Bulbule Thay. Woh Zill E Rehmat Woh Rukh Key Jalwe Ke Taare Chupte Na Khilne Paate Sunehri Zarbaft Udi Atlas Yeh Than Sab Dhoop Chaoon Ke The. Chala Woh Serve E Chamaan Kharamaa Na Ruk Saka Sidra Say Damaan Palak Jhapakti Rahi Woh Kab Kay Sab Aeno Aan Say Guzar Chuke Thay. Jhalak See Eik Qudsiyoon Per Aayi Hawwaa Bhi Daman Ki Phir Na Payi Sawari Dulha Ki Dur Pohnchi Barat Main Hosh Hi Gaye Thay. Thakay Thay Ruhul Amin Key Bazu Chuta Woh Daman Kahan Woh Pehloo Rikab Chooti Ummeed Tuti Nigah E Hasrat Key Walwaley Thay. Ravish Ki Garmi Ko Jis Ney Socha Dimag Say Eik Bhabuka Phoota Khirad Key Jungle Main Phool Chumka Dahar Dahar Ped Jal Rahe Thay. Jiloo Main Jo Murgay A’qal Uray Thay Ajab Booray Haloon Girtay Partay Woh Sidrah Hee Per’rahay Thay Thak Kar Charha Dam Tewar Aa Gaye Thay. Qavi They Nurgan E Waham Kay Per Uray To Urdnay Ko Aur Dam Bhar Utha’ee Seenay Ki Aisi Thokar Kay Khoonay Andesha Th’oo’ktay Thay. Suna Yeh Itnay Mein Arsh E Haq Nay Kay Lay Mubarak Ho Taaj Waley Wohi Qadam Khair Say Phir Aaye Jo Pehle Taaj E Sharaaf Tere Thay. Yeh Sunkay Bay Khud Pukar Utha Nisar Jaoon Kahan Hain Aaqa Phir Unkay Talwoon Ka Paoon Bosa Yeh Meri Aankhon Kay Din Phire Thay. Jhuka Tha Mujre Ko Arsh E Aala Gire They Sajde May Bazme Bala Yeh Aankhein Qadmoon Say Mal Raha Tha Woh Girde Qurbaan Ho Rahay Thay Ziyaein Kuch Arsh Per Yeh Aaein Kay Sari Qindileen Jhilmilayeen Huzoor E Khurshid Kya Chamaktay Chairagh Moun Apna Dekh Tay Thay. Yehi Sam’an Tha Kay Paikay Rehmat Khabar Yeh Laya Kay Chaliye Hazrat Tumhari Khatir Kushada Hain Woh Jo Kalim Per Band Rastaay Thay. Badh Ay Muhammad Qaree Ho Ahmed Qareeb Aa Sarwar E Mumajjad Nisar Jaoon Yeh Kiya Nida Thi Yeh Kiya Samaan Tha Yeh Kiya Mazay Thay. Tabarakallah Shan Teri Tujhi Ko Zaiba Hai Bay Niyazi Kahin To Woh Josh E Lan-Tarani Kaheen Takazay Visal Kay Thay. Khirad Say Keh Do Kay Sir Jhuka Le Gumaan Say Guzray Guzarnay Walay Pare Hain Yahan Khud Jaihat Ko Laalay Kisay Bataye Kidhar Gaye Thay. Surag Aino Mataa Kahaan Tha Nishan E Kaifo Illa Kahan Tha. Na Koi Rahi Na Koi Sathi Naa Sang E Manzil Naa Merhalay Thay. Udar Say Payham Taqazay Aana Idhar Say Mushkil Qadam Barhana Jalal O Haibat Ka Saamna Tha Jamalo Rehmat Ubhartay Thay. Barhay To Lekin Jhee-Jhaktay Dartay Haya Say Jhuktay Adab Say Ruktay Jo Qurb Unhi Ki Ravish Pay Rakhtay To Lakhoon Manzil Kay Fasilay Thay Per Unka Barhna To Naam Ko Tha Haqeeq’tan Fail Tha Udhar Ka Tanazuloon Mein Taraki Afza Dana Tadalla Key Silsilay Thay. Hua Yeh Aakhir Kay Aik Bajra Tamojay Bahrey Hoo Mein Ubhra Dana Ki Godi Mein Unko Lekar Fana Kay Langar Utha Diye Thay. Kisay Milay Ghat Ka Kinara Kither Say Guzra Kahan Utra Bhara Jo Misle Nazar Tarara Woh Apni Aankhoon Say Khud Chupay Thay. Uthay Jo Qasray Dana Kay Parde Koi Khabar Dey To Kiya Khabar Day Wahan To Ja Hee Nahin Duee Ki Na Keh Kay Woh Bhi Na Thay Aray Thay. Woh Baag Kuch Aisa Rang Laya Kay Guncha O Gul Ka Faraq Uthaya Girah Mein Kal’liyoon Ki Baag Phoolay Guloon Kay Takmay Lagay Huay Thay Muhito Markaz Mein Faraq Mushkil Rahe Na Faasil Khutoot E Wasil Kamaan E Hairat Mein Sir Jhukaye Ajeeb Chakar Mein Da’eray Thay. Hijab Uhnay Mein Lakhoon Parde Har Aik Parday Main Lakhon Jalway Ajab Ghari Thi Kay Waslo Furqat Janam Kay Bichray Galay Milay Thay. Zabanein Sukhi Dikha Kay Mojein Tarap Rahi Thien Kay Pani Paein Bhanwar Ko Yeh Zofay Tashnagi That Kay Halqay Aankhoon Mein Par Gaye Thay. Wohi Hai Awwal Wohi Hai Aakhir Wohi Hai Batin Wohi Hai Zahir Usi Kay Jalway Usi Say Milnay Usi Say Uski Taraf Gaye Thay. Kaman E Imakan Kay Jhutay Nukto Tum Awwal Akhir Ki Phair Mein Ho Muhit Ki Chal Say To Pucho Kidhar Say Aaye Kidhar Gaye Thay. Udhar Say Theen Nazray Shah Namaz’ain Idhar Say Inaam E Khusravi Mein Salam O Rehmat Kay Haar Gundh Ker Glue E Pur Noor Mein Paray Thay. Zabaan Ko Intezar Guftan To Gos Ko Hasrat E Shunidan Yahan Jo Kehna Tha Keh Liya Tha Jo Baat Sun’ni Thi Sun Chukay Thay. Woh Burj E Batha Ka Mahpara Bahishat Ki Sair Ko Sidhara Chamak Pay Tha Khuld Ka Sitara Kay Iss Qamar Kay Qadam Gaye Thay. Suroor E Maqdam Ki Roshni Thi Kay Tabishoon Say Mah E Arab Ki Jina Kay Gulshan Thay Jhaar Farshi Jo Phool Thay Sab Kanwal Banay Thay. Tarab Ki Nazish Kay Haan Lachakiye Adab Woh Bandish Kay Hill Na Sakiye Yeh Josh E Ziden Tha Keh Poday Kasha Kish E Arah Kay Talay Thay. Khuda Ki Qudrat Keh Chand Haq Kay Karoroon Manzil Mein Jalwa Kar Kay Abhi Na Taroon Ki Chaoon Badli Keh Noor Kay Tarkay Aa Liye Thay. Nabi E Rehmat Shafi E Ummat RAZA Pay Lillah Ho Inayat Isay Bhi Unn Khal’atoon Say Hisa Jo Khas Rehmat Kay Waan Bate Thay Sana E Sarkar Hai Wazifa Qabool E Sarkar Hai Taman’na Na Shayari Ki Hawas Na Parwah Radi Thi Kiya Kaisay Kafiye Thay.
- Dono Aalam ke Sarkar aa Jayiye
Behre deedar mushtaq hai har nazar Dono aalam ke Sarkar aa jayiye Chandni raat hai aur pichla pahar Dono aalam ke Sarkar aa jayiye Ab toh aa jayiye ab toh aa jayiye Sidratul muntaha arsho baagh e iram Hr jaga par chuke hain nishane qadam Ab to ik baar apne ghulamo k ghr dono alam k sarkar ajaiye Ab to ajaiye ab to ajaiye Mere gulshan ko ik baar mehkaiye Apne jalwo ki baarish me nahalaiye Deeda e Shauk ko kijiye paarwar Dono aalam ke Sarkar aa jayiye Ab toh aa jayiye ab toh aa jayiye Saamne jalwagar Paikar e Noor ho Munkiro ka bi Sarkaar shak door ho Karke tabdeel ik din Libaas e Bashar Dono aalam ke Sarkar aa jayiye Ab toh aa jayiye ab toh aa jayiye Shaam e umeed ka ab sawera huwa Suu e Taiba nigaho me dera huwa Bichh gaye raah me farsh Qalb o Jjigar Dono aalam ke Sarkar aa jayiye Ab toh aa jayiye ab toh aa jayiye Aakhari wakt hai ek bimaar ka Dil machal ne laga shoke deedar ka Buj na jaaye kahin ye charage sahar Dono aalam ke Sarkar aa jayiye Ab toh aa jayiye ab toh aa jayiye Shaam e ghurbat hai aur, sheher khamosh hai Eik Arhsad akela kafan poshhai Khauf ki hai ghari waqt hai purkhatar Dono aalam ke Sarkar aa jayiye Ab toh aa jayiye ab toh aa jayiye
- SWEET MADINA SWEET MADINA
How Is Beautiful Madina, Very Very Good Madina, My Choice Is Madina, How Fine Is Madina, I Can Tell About Madina, We Can Tell About Madina Sweet Madina, Sweet Madina, Sweet Madina, Very Lovely (X2) Give Me A Chance To Go To Madina, Give Me A Chance To Go To Madina, Our Heart Say To Us, Go To Madina, Sweet Madina, Sweet Madina, Sweet Madina, Very Lovely (X2) So Appealing Is Madina, So Alluring Is Madina, So Enchanting Is Madina, So Attracting Is Madina, So Loving Is Madina, So Loving Is Madina, So Charming Is Madina, Sweet Madina, Sweet Madina, Sweet Madina, Very Lovely (X2) Everyone’s Eyes Say Their Place Is Madina, Everyone’s Eyes Say Their Place Is Madina, Each And Every Heart Is Saying Madina, Sweet Madina, Sweet Madina, Sweet Madina, Very Lovely (X2) Quite Nice Is Madina, Quite Clear Is Madina, Quite Fine Is Madina, Quite Famous Is Madina, Quite Matchless Is Madina, Sweet Madina, Sweet Madina, Sweet Madina, Very Lovely (X2) Connect Your Heart To Love The Madina, Connect Your Heart To Love The Madina, Because There Is No City Like Madina, Sweet Madina, Sweet Madina, Sweet Madina, Very Lovely (X2) Much Bright Is Madina, Much Glean Is Madina, Much Clean Is Madina, Much Prayer Is Madina, Much Holy Is Madina, Much Kind Is Madina, Sweeet Madina, Sweet Madina, Sweet Madina, Very Lovely (X2) My Wish Is Madina, My Heart Is Madina, My Shelter Is Madina, My Axis Is Madina, My Moon Is Madina, My Soul Is Madina, My Heaven Is Madina, Sweet Madina, Sweet Madina, Sweet Madina, Very Lovely (X2) We Will Be Forgiven By Muhammad, We Will Be Forgiven By Muhammad, Kamals Wish Is To Die In Madina, Sweet Madina, Sweet Madina, Sweet Madina, Very Lovely (X3) How Is Beautiful Madina, Very Very Good Madina, My Choice Is Madina, How Fine Is Madina, I Can Tell About Madina, We Can Tell About Madina, Such A Beautiful Madina, Sweet Madina, Sweet Madina, Sweet Madina, Very Lovely, Very Lovely, Very Lovely, Very Lovely…
- HAR NAZAR KANP UTHEGI MEHSHAR KE DIN
Har nazar kanp utthegi maheshar ke din Har nazar kanp utthegi maheshar ke din Khauf se har kaleja dehel jaayega Par ye naaz un ke bande ka dekhenge sab Thaamkar unka daaman machal jaayenga Maujh takra ke hum se chalee jayegi Rukh mukhalif hava ka badal jaayega Jab ishaara karenge wo naa khuda Apna bera bhanvar se nikal jaayega Har nazar kanp utthegi maheshar ke din Khauf se har kaleja dehel jaayega Par ye naaz un ke bande ka dekhenge sab Thaamkar unka daaman machal jaayenga Yuu to jeeta hu hukme khuda se magar Mere dil ki hai unko yaqinann khabar haasile zindagi hoga wo din mera Unke kadmon mein jab dam nikal jaayega Har nazar kanp utthegi maheshar ke din Khauf se har kaleja dehel jaayega Rabbi sallim wo farmaane wale mile Kyun satate hai eh dil Tujhe waswase Pul se ghuzrenge hum vajd karte huwein Kaun kehta hai paau fisal jayega Har nazar kanp utthegi maheshar ke din Khauf se har kaleja dehel jaayega Par ye naaz un ke bande ka dekhenge sab Thaamkar unka daaman machal jaayenga Akhtare khasta kyun itna beychen hai Tera aaqa shehenshahe kaunain hai Lou laga to sahin shahe laulaaq se gham masarrat ke saanche me dhal jayenga Har nazar kanp utthegi maheshar ke din Khauf se har kaleja dehel jaayega Par ye naaz un ke bande ka dekhenge sab Thaamkar unka daaman machal jaayenga
- Is Karam Ka Karu Shukr Kaise Ada
Is Karam Ka Karoon Shukr Kaise Ada Jo Karam Mujpe Mere Nabi Ne Kiya Main Sajata Tha Sarkar Ki Mehafile Mujko Har Gam Se Rab Ne Bari Kar Diya Is Karam Ka Karoon Shukr Kaise Ada Lamha Lamha Hai Mujpar Nabi Ki Ata Dosto Or Mangu Main Maula Se Kya Kya Ye Kam Hai Ke Mere Khuda Ne Muje Apne Mehboob Ka Ummati Kar Diya Is Karam Ka Karoon Shukr Kaise Ada Zikr Sarkar Ki Hai Bari Barkate Mil Gai Rahate Azamate Rifa-Ate Main Gunahgaar Tha Be-Amal Tha Magar Mustafa(Saw) Ne Muje Jannati Kar Diya Is Karam Ka Karoon Shukr Kaise Ada Jo Dare Mustafa(Saw) Ke Daga Ho Gae Dekhte Dekhate Kya Se Kya Ho Gae Aisi Chasme Karam Hai Sarkar Ne Har Daga Ko Shafi Ne Wali Kar Diya Is Karam Ka Karoon Shukr Kaise Ada Koy Mayus Lota Na Darbar Se Jo Bhi Manga Mila Mere Sarkar Se Sadake Jau ‘Niyazi’ Mai Lajpal Ke Dono Aalam Mai Mujko Sakhi Kar Diya Is Karam Ka Karoon Shukr Kaise Ada
- Tere Sadqe mein Aaqa Sare jahan ko deen mila
Tere Sadqe mein Aaqa Sare jahan ko deen mila Be deenon ne kalma pada Lailaha Illalallah Hasbi Rabbi Jallalallah Mafee Qalbi Gayrullah Noore Muhammad Sallalallah Lailaha Illalallah Simte Nabi Bu jahal gaya Aaqa se usne ye kaha Gar ho Nabi batlao zara Meri mutthi mein hai kya Aaqa farman hua Aur fazle Rehman hua Mutthi se patthar bola Lailaha Illalallah Hasbi Rabbi Jallalallah Mafee Qalbi Gayrullah Noore Muhammad Sallalallah Lailaha Illalallah Apni bahen se bole Umar Ye to bata kya karti thi Mere aane se pahele kya Chupke chupke padti thi Bahen ne jab Quran pada Sunke Qalame paake Khuda Dil ye Umar ka bol utha Lailaha Illalallah Hasbi Rabbi Jallalallah Mafee Qalbi Gayrullah Noore Muhammad Sallalallah Lailaha Illalallah Wo jo Bilale Habshi hein Sarware Deen ka pyara hai Duniya ke har Aashiq ki Aankhon ka wo Taara hai Zulm huye kitne un par Sine pe rakha patthar Fir bhi lab pe jari tha Lailaha Illalallah Hasbi Rabbi Jallalallah Mafee Qalbi Gayrullah Noore Muhammad Sallalallah Lailaha Illalallah Duniya ke Insan sabhi Shirko Bid’at karte the Rabb ke the bande firbhi But ki Ibadat karte the But khane hein tharraye Mere Nabi jab aaye Kehne lagi Makhluke Khuda Lailaha Illalallah Hasbi Rabbi Jallalallah Mafee Qalbi Gayrullah Noore Muhammad Sallalallah Lailaha Illalallah Gulshan Kalma padte hein Chidiya Kalma padti hai Duniya ki Makhluk sabhi Zikr Khuda ka karti hai Kehte sabhi hein Jinno Bashar Kehta Shajar hai Kehta Hajar Kehta hai Patta Patta Lailaha Illalallah Hasbi Rabbi Jallalallah Mafee Qalbi Gayrullah Noore Muhammad Sallalallah Lailaha Illalallah
- Ay Deen E Haq Ke Rehbar Tum Par Salaam Har Dam
Ay Deen E Haq Ke Rehbar Tum Par Salaam Har Dam Mere Shafe’a E Mehshar, Tum Par Salaam Har Dam Iss Be-kaso Azee Par Jo Kuch Guzar Rahi Hain Zaahir Hai Sab Wo Tum Par Tum Par Salaam Har Dam Banda Tumhare Darr Ka Aafat Me Mubtala Hain Rehme Habeeb E Daawar, Tum Par Salaam Har Dam Lillah Ab Hamari Fariyad Ko Pohachiye Be-had Hai Haal Abtar, Tum Par Salaam Har Dam Koyi Nahi Hai Mera, Main Kiske Daad Chahoon Sultaan E Banda Parwar, Tum Par Salaam Har Dam Bulwa Ke Apne Darr Par Ab Mujhko Dijiye Izzat Phirta Hu Khwar Darr Darr, Tum Par Salaam Har Dam Mohtaaj Se Tumhare Karte Hain Sab Kinara Bas Ik Tumhi Ho Yaavar, Tum Par Salaam Har Dam Apne Gada E Darr Ki Lijiye Khabar Khudara Kijiye Karam Hasan Par, Tum Par Salaam Har Dam
- DIL KI DUNIYA KO SAJAO AAQA
Dil ki duniya ko sajao aaqa Apni ulfatt me jilao aaqa Shauke didaar me sou jis shab Apna didar karao aaqa Dil ki duniya ko sajao aaqa Apni ulfatt me jilao aaqa Mere dil ki hai tamanna har dam Apna ghar isko banao aaqa Dil ki duniya ko sajao aaqa Apni ulfatt me jilao aaqa Fikre duniya me na aansu nikle Apni ulfatt me rulao aaqa Dil ki duniya ko sajao aaqa Apni ulfatt me jilao aaqa Hubbe duniya se bachana mujhko Mujhko apna hi banao aaqa Dil ki duniya ko sajao aaqa Apni ulfatt me jilao aaqa Jitne momin hai pareshan data Sabki bigdi ko banao aaqa Dil ki duniya ko sajao aaqa Apni ulfatt me jilao aaqa Shakire razvi hai aasi shaha Muzda bakshish ka sunao aaqa Dil ki duniya ko sajao aaqa Apni ulfatt me jilao aaqa